Monday, August 6, 2012

Nityanand Tushar ON DABANG CHANNEL in BAHUT KHOOB.

प्रिय मित्रो,

आपको ये सूचना देते हुए हर्ष हो रहा है कि `दबंग चैनल` से प्राप्त सूचना के अनुसार, पिछले दिनों शूट किया गया हमारे काव्य पाठ का एपिसोड आगामी 7 अगस्त , मंगलवार को रात 9.30 मिनट पर`बहुत खूब टेलीकास्ट किया जायेगा,आशा है कि आपका स्नेह प्राप्त होगा और आप कार्यक्रम को अवश्य देखेंगे.

Dear friends,
information received from Dabang TV channel ,
Episode of my poems ,which was shot some time back for Dabang Channel,will be telecasted on 7 august, tuesday at 9.30 p.m.in BAHUT KHOOB`.I hope you shall enjoy it.

वो गुब्बारा फूट चुका है उसको ये मालूम है - -नित्यानंद `तुषार`

 Anna andolan ke ondhe munh girne par bahut kuchh likha ja raha hai,par hamare vichaar se mukhy karan ye hain
Is andolan mein andolan se zyada dhayaan logon ne khud ko project karne mein lagaya,
Anna bante to hain imandaar aur naitik aur ek sahityik chor kumar vishvash ko manch par saath bithhate hain to Anna ki asliyat janta jaan jati hai,Anna desh par marne ko bhushan batate hain par desh...par marte nahin, Anna aur unki team desh par marne ka natak kartee hai,to janta asliyat samajh jaatee hai,,Anna blog likhne vale ke register par hastakshar karke mukar jate hain tab janta Anna ke charitr ke bare mein jaan jati hai,Anna yun to Gandhi ji ki samaadhee par jate hain par camere par `ek hi mara` kahte hue pakde jate hain,to janta soch letee hai ki ye Gandhivadi nahi iski pravartee kuchh aur hai,Anna kahte hain` bolne vale bahut hain karne vala chahiye`, Anna khud jo kahte hain vo nahin karte ,Anna ne kaha tha jab tak lokpal nahi aata , chahe pran chale jayein, anshan jaree rahega par Anna apni baat par kayam nahi rahe, aakhir kisi ko aap kab tak murkh bana sakte hain ,ek sahityik chor tathakathit kavi Kumar Vishvash ne Anna andolan ke baad apne rate char gune kar diye ,aur Anna se jude dusare log bhi apne apne tarike se apna hit saadhne mein lag gaye is andolan ki aad mein, roz tv par aa-aakar, par ye bhool gaye ki janta ye sab dekh rahee hai aur usee ka parinaam hai ki janta ne in logon ko ab nakaar diya hai ,Anna ji is desh ki janta ko adhik din tak murkh nahi banaya ja sakta ,maal khao aap log aur janta vyarth mein aapke liye apna samay kharaab kare ab janta ko ye manjoor nahi hai AUR ANNA JI BHI SAMAJH GAYE HAIN KI KAATH KI HAANDI EK BAAR HI CHHDHTEE HAI.........

in pantktiyon ke saath baat samapt karte hain ,......................

उसका जादू टूट चुका है ,उसको ये मालूम है
जनमत उससे छूट चुका है उसको ये मालूम है
जिससे उसको ख्याति मिली और जग को बहकाया था
वो गुब्बारा फूट चुका है उसको ये मालूम है - -नित्यानंद `तुषार`